Ik taza hikayat hai sun lo tu inayat hai
Ik taza hikayat hai sun lo tu inayat haiIk Shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum ne
Ik Shakhs ko chaha tha apno ki tarha hum ne
Ik Shakhs ko smja tha pholon ki tarha hum ne
Wo shakhs Qyamat tha kya us ki krein batein
Din us k liye peeda or uski hi thi Ratein.
Kam milta kisi se tha hum se thein Mulaqatein.
Rang us ka Shahabi tha Zulfon mein thi mehkarein
Ankein thi k Jaadu tha Palkein thi k talwarein.
Dushman b ager dekhein So Jan se Dil harein.
Kuch tm se wo Milta tha Baton mein Shabahat thi.
Han tm Sa hi Lagta tha Shokhi mn Shrart mn
Lagta b tm hi sa tha Dastror E Muhabt mn.
Wo Shakhs hmein 1 din Apno ki tarha bhola
Taroo ki tarha Doba
Pholoo ki tarha tota
Pher hath na aya Woh
Hum ne buht dhonda
Tum kis liye chonky ho Kub Zikr tmhara hai
Kub tm se Takaza hai
Kub tm se Shikayt hai
Ik taza Hikayat hai Sun Lo tu inayat hai
Post a Comment